Main Chahta Ho Parinde Riha Kiya Jaye (Full Ghazal) | Tehzeeb hafi Poetry | Urdu Poetry | SK Writes

میں چاہتا ہوں پرندے رہا کیے جائیں
میں چاہتا ہوں تیرے ہونٹ سے ہنسی نکلے

  میں چاہتا ہوں مجھے کوئی درد دان کرے
میں چاہتا ہوں کہ آنسو ہنسی خوشی نکلے

لبوں سے لفظ جھڑیں آنکھ سے نمی نکلے
کسی طرح تو مرے دل سے بے دلی نکلے

میں چاہتاہوں کوئی مجھ سے بات کرتا رہے
میں چاہتا ہوں کہ اندر کی خامشی نکلے

میں چاہتا ہوں کہ یہ راہ بحال ہو پھر سے
ہماری آنکھ سے دل تک کوئی گلی نکلے

میں چاہتا ہوں مجھے طاقچے میں رکھا جائے
میں چاہتا ہوں جلوں اور روشنی نکلے

میں میں چاہتا ہوں پرندے رہا کیے جائیں
میں چاہتا ہوں تیرے ہونٹ سے ہنسی نکلے

تہزیب حافی

Main Chahta Hun Parinde Riha Kiye Jayein
Main Chahta Hun Tere Hont Se Hansi Nikle

Main Chahta Ho Mujhe Koi Dard Daan Kare
Main Chahta ho K Aanso Hansi Khushi Nikle

Labo Se Lafz Jharre, Aankh Se Nami Nikle
Kisi Tarah To Mere Dil Se Be-Dili Nikle

Main Chahta Hun Koi Mujhse Baat Karta Rahe
Main Chahta Hun Ke Andar Ki Khamashi Nikle

Main Chahta Hun Ke Ye Raah Bahaal Ho Phir Se
Hamari Aankh Se Dil Tak Koi Gali Nikle

Main Chahta Hun Mujhe Taqche Me Rakha Jaye
Main Chahta Hun Jaloon Aur Raushani Nikle

Main Chahta Hun Parinde Riha Kiye Jayein
Main Chahta Hun Tere Hont Se Hansi Nikle

Main Chahta Ho Parinde Riha Kiya Jaye (Full Ghazal) | Tehzeeb hafi Poetry | Urdu Poetry | SK Writes

Share To:

Shafique Khokhar

Post A Comment:

0 comments so far,add yours