Khuli Aankho ma sapna jhankta ha | Parveen Shakir | Parveen Shakir Urdu Poetry | Sad urdu shayri
کھلی آنکھوں میں سپنا جھانکتا ہے
وہ سویا ہے کہ کچھ کچھ جاگتا ہے
تری چاہت کے بھیگے جنگلوں میں
مرا تن مور بن کر ناچتا ہے
مجھے ہر کیفیت میں کیوں نہ سمجھے
وہ میرے سب حوالے جانتا ہے
میں اس کی دسترس میں ہوں مگر وہ
مجھے میری رضا سے مانگتا ہے
کسی کے دھیان میں ڈوبا ہوا دل
بہانے سے مجھے بھی ٹالتا ہے
سڑک کو چھوڑ کر چلنا پڑے گا
کہ میرے گھر کا کچا راستہ ہے
شاعرہ: پروین شاکر
khuli ankhon men sapna jhankta hai
vo soya hai ki kuchh kuchh jagta hai
tiri chahat ke bhige jangalon men
mira tan mor ban kar nachta hai
mujhe har kaifiyat men kyuun na samjhe
vo mere sab havale janta hai
main us ki dastaras men huun magar vo
mujhe meri raza se mangta hai
kisi ke dhyan men Duuba hua dil
bahane se mujhe bhi talta hai
sadak ko chhod kar chalna padega
ki mere ghar ka kachcha rasta hai
Post A Comment:
0 comments so far,add yours