سسکتی رت کو مہکتا گلاب کر دوں گا 
میں اس بہار میں سب کا حساب کر دوں گا 

میں انتظار میں ہوں تو کوئی سوال تو کر 
یقین رکھ میں تجھے لا جواب کر دوں گا 

ہزار پردوں میں خود کو چھپا کے بیٹھ مگر 
تجھے کبھی نہ کبھی بے نقاب کر دوں گا 

مجھے بھروسہ ہے اپنے لہو کے قطروں پر 
میں نیزے نیزے کو شاخ گلاب کر دوں گا 

مجھے یقین کہ محفل کی روشنی ہوں میں 
اسے یہ خوف کہ محفل خراب کر دوں گا 

مجھے گلاس کے اندر ہی قید رکھ ورنہ 
میں سارے شہر کا پانی شراب کر دوں گا 

مہاجنوں سے کہو تھوڑا انتظار کریں 
شراب خانے سے آ کر حساب کر دوں گا

راحت اندوری

 Sisakti rut ko mehakta gulaab kar doonga By Shafique Khokhar,Fan of  the Day M Shahbaz

Sisakti rut ko meehakta gulaab kar doonga 
Main is bahaar main sab ka hisab kar donga

Main intezar main hon tu koi sawal to kar
Yakeen rakh main tujhe lajawab kar doonga 

Hazaar pardon main khud ko chupa ke baith magar
Tujhe kabhi na kabhi benaqaab kar doonga

Mujhe bharosa hai apne lahoo ke katron pe 
Main neze neze ko shaakh e gulab kar doonga 

Mujhe yakeen hai ki mehfil ki roshni hoon main
Unhe ye khauff ke mehfil kharab kar doonga 

Mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna
Main saare shahar ka pani sharab kar doonga

Mahajano se kaho thoda intezaar karein
Sharab khane se aakar hisaab kar doonga 


Raahat Indori 

Share To:

Shafique Khokhar

Post A Comment: