Top 10 Ashar of Mirza Ghalib ( Urdu Poetry ) | Mirza Ghalib | Sad Poetry Status | Sad Shayari Urdu


10
بازیچۂ اطفال ہے دنیا مرے آگے
ہوتا ہے شب و روز تماشا مرے آگے
bazichah-e atfaal hai dunya mire aage
hota hai shab-o-roz tamasha mire aage

9
رگوں میں دوڑتے پھرنے کے ہم نہیں قائل
جب آنکھ سے ہی نہ ٹپکا تو پھر لہو کیا ہے
rago'n mein daurte phirne ke ham nahin qayal
jab ankh se hi nah tapka to phir lahu kya hai

8
دلِ ناداں تجھے ہوا کیا ہے
آخر اس درد کی دوا کیا ہے
dil-e-nadan tujhe hua kya hai
aakhir is dard ki davaa kya hai

7
ہیں اور بھی دنیا میں سخن ور بہت اچھے
کہتے ہیں کہ غالبؔ کا ہے انداز بیاں اور
Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar Bahut Achche
Kahte Hain Ki ‘Ghalib’ Ka Hai Andaaz-E-Bayaan Aur

6
ان کے دیکھے سے جو آ جاتی ہے منہ پر رونق
وہ سمجھتے ہیں کہ بیمار کا حال اچھا ہے
Un Ke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Ronaq
Wo Samajhte Hain K Bimar KA Haal Achaa Hai

5
کوئی امّید بر نہیں آتی
کوئی صورت نظر نہیں آتی
koi ummid bar nahin aati
koi suurat nazar nahin aati

4
عشق نے غالب نکمّا کر دیا
ورنہ ہم بھی آدمی تھے کام کے
ishq ne ghalib nikamma kar diya
varnah ham bhi aadmi thay kaam ke

3
جان دی، دی ہوئی اسی کی تھی
حق تو یوں ہے کہ حق ادا نہ ہوا
jan di , di hui ussi ki thi
haq to yu'n hai keh haq ada na hua

2
ہم کو ان سے وفا کی ہے امّید
جو نہیں جانتے وفا کیا ہے؟
ham ko un se wafa ki hai ummid
jo nahin jante wafa kya hai ?

1
ہم نے مانا کہ تغافل نہ کرو گے ، لیکن
خاک ہو جائیں گے ہم، تم کو خبر ہونے تک
ham ne mana keh tagaful nah karoge, lekin
khak ho jae'nge ham, tum ko khabar hone tak

Top 10 Ashar of Mirza Ghalib ( Urdu Poetry ) | Mirza Ghalib | Sad Poetry Status | Sad Shayari Urdu


Share To:

Shafique Khokhar

Post A Comment:

0 comments so far,add yours