Ay Meri Jaan Ke Dushman ( Urdu Poetry ) | Ahmad Faraz Poetry | Sad Shayari | Sad Whatsapp Status
ہر کوئی دل کی ھتھیلی پہ ہے صحرا رکھے
کس کو سیراب کرے کسے پیاسا رکھے
عمر بھر کون نبھاتا ہے تعلق اتنا
اے میری جان کے دشمن تجے اللہ رکھے
ہم کو اچھا نہیں لگتا کوئی ہم نام ترا
کوئی تجھ سا ہو تو نام بھی تجھ سا رکھے
دل بھی پاگل ہے کہ اس شخص سے وابستہ ہے
کسی اور کا ہونے دے نہ اپنا رکھے
ہنس نہ اتنا بھی فقیروں کے اکیلے پن پر
جا، خدا میری طرح تجھ کو بھی تنہا رکھے
یہ قناعت ہے اطاعت ہے کہ چاہت ہے فراز
ہم تو راضی ہیں وہ جس حال میں جسیا رکھے
Har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe
Kis ko sairab kare vo kise pyasa rakkhe
Umr bhar kaun nibhata hai taalluq itna
Ay miri jaan ke dushman tujhe Allah rakkhe
Ham ko achchha nahin lagta koi hamnam tira
Koi tujh sa ho to phir naam bhi tujh sa rakkhe
Dil bhi pagal hai ki us shakhs se vabasta hai
jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
Kam nahin tama-e-ibadat bhi to hirs-e-zar se
Faqr to vo hai ki jo diin na duniya rakkhe
Hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par
Ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe
Ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai ‘Faraz’
Ham to raazi hain vo jis haal men jaisa rakkhe
Post A Comment:
0 comments so far,add yours