Kuch To Hawa Bhi Sard Thi ( Urdu shayari )| Parveen Shakir | Parveen Shakir Urdu poetry | sad poetry
کچھ تو ہوا بھی سرد تھی، کچھ تھا تیرا خیال بھی
دل کو خوشی کے ساتھ ساتھ ہوتا رہا ملال بھی
بات وہ آدھی رات کی، رات وہ پورے چاند کی
چاند بھی عین چیت کا اس پہ ترا جمال بھی
سب سے نظر بچا کے وہ مجھ کو کچھ ایسے سیکھتا
ایک دفعہ تو رک گئی گردش ماہ و سال بھی
دل کو چمک سکے گا کیا، پھر بھی ترش کے دیکھ لیں
شیشہ گران شہر کے ہاتھ کا یہ کمال بھی
اس کو نہ پا سکے تھے جب دل کا عجیب حال تھا
اب جو پلٹ کے دیکھئیے، بات تھی کچہ محال بھی
مری طلب تھا ایک شخص وہ جو نہیں ملا تو پھر
ہاتھ دعا سے یوں گرا، بھول گیا سوال بھی
اس کی سخن طرازیاں مرے لئے بھی ڈھال تھیں
اس کی ہنسی میں چھپ گیا اپنے غموں کا حال بھی
گاہ قریب شاہ رگ، گاہ امید دائم و خواب
اس کی رفاقتوں میں رات، ہجر بھی تھا وصال بھی
اس کے بازوؤں میں اور اس کو ہی سوچتے رہے
جسم کی خواہش پہ تھے روح کے اور جال بھی
شام کی نا سمجھ ہوا پوچھ رہی ہے اک پتا
موج ہوائے کوئے یار، کچھ تو مرا خیال بھی
پروین شاکر
Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khiyal Bhi
Dil Ko khushi Ke saath saath hota raha malaal bhi
baat woh aadhi raat ki raat woh pooray chaand ki
Chaand bhi ain chait ka us pe tera jamaal bhi
sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aisay dekhta
aik dafa to ruk gayi gardish-e-mah-o-saal bhi
dil ko chamak sakay ga kya phir bhi tarash ke dekh lein
Sheesha Garaan-e-Shehar ke haath ka yeh kamaal bhi
us ko na pa sakay thay jab dil ka ajeeb haal tha
ab jo palat ke dekhiye baat thi kuch muhaal bhi
meri talab tha aik shakhs woh jo nahin mila to phir
haath dua se yoon gira bhool gaya sawaal bhi
Gahe Qareb Shah rag gahe umeed e daim o Khawb
Uss K Rafaqato ma rat Hijr Bhi Tha Wisaal Bhi
Uss K Bazon Ma Aur Usko he Sochte Rahe
Jism k Khahish pay TheeRoh K jaal bhi
uss ki sukhan taraazian mere liye bhi dhaal thein
uss ki hansi mein chuph gaya apnay ghamon ka haal bhi
shaam ki na samjh hawa pooch rahi hai ik pata
mouj-e-hawa-e-kue yaar kuch to mera khiyal bhi
Post A Comment:
0 comments so far,add yours