Ye Gham Kya Dil K Adat Hai by Jaun Elia | John Elia Poetry | John Elia Urdu Poetry Sad | SK Writes
Click here To watch the Video

یہ غم کیا دل کی عادت ہے؟ نہیں تو
کسی سے کچھ شکایت ہے؟ نہیں تو

کسی کے بِن، کسی کی یاد کے بِن
جیئے جانے کی ہمت ہے؟ نہیں تو

ہے وہ اک خوابِ بے تعبیر، اس کو
بھلا دینے کی نیت ہے؟ نہیں تو

کسی صورت بھی دل لگتا نہیں؟ ہاں
تو کچھ دن سے یہ حالت ہے؟ نہیں تو

تیرے اس حال پر ہے سب کو حیرت
تجھے بھی اس پہ حیرت ہے؟ نہیں تو

ہم آہنگی نہیں دنیا سے تیری
تجھے اس پر ندامت ہے؟ نہیں تو

ہُوا جو کچھ یہ ہی مقسوم تھا کیا
یہ ہی ساری حکایت ہے؟ نہیں تو

اذیت ناک امیدوں سے تجھ کو
اماں پانے کی حسرت ہے؟ نہیں تو

تُو رہتا ہے خیال و خواب میں گم
تو اِس کی وجہ فرصت ہے؟ نہیں تو

سبب جو اِس جدائی کا بنا ہے
وہ مجھ سے خوبصورت ہے؟ نہیں تو

جون ایلیا

Yeh Gham Kya Dil Ki Aadat Hai! Nahin To
Kisi Sey Kuch Shikaayat Hai! Nahin To

Hai Woh Ek Khwaab-E-Be-Taabeer
Bhula Dene Ki Neeyat Hai! Nahin To

Kisi Ke Bin, Kisi Ki Yaad Ke Bin
Jiye Jaane Ki Himmat Hai! Nahin To

Kisi Soorat Bhi Dil Lagta Nahin! Haan
To Kuch Din Se Yeh Haalat Hai! Nahin To

Tujhe Jisne Kahin Ka Bhi Na Rakhkha
Woh Ek Zaati Si Wehshat Hai! Nahin To

Tere Is Haal Par Hai Sab Ko Hairat
Tujhe Bhi Is Pe Hairat Hai! Nahin To

Hum-Aahangi Nahin Dunia Se Teri
Tujhe Is Par Nadaamat Hai! Nahin To

Hua Jo Kuch Yehi Maqsoom Tha Kya!
Yehi Saari Hikaayat Hai! Nahin To

Azeeyat-Naak Ummeedon Sey Tujh Ko
Amaan Paaney Ki Hasrat Hai! Nahin To

Tu Rehta Hai Khayaal-O-Khwaab Mein Gum
To Is Ki Wajha Fursat Hai! Nahin To

Wahaan Waalon Sey Hai Itni Muhabbat
Yahaan Waalon Se Nafrat Hai! Nahin To

Sabab Jo Is Judaai Ka Bana Hai
Wo Mujh Se Khoobsoorat Hai! Nahin To

Ye Gham Kya Dil K Adat Hai by Jaun Elia | John Elia Poetry | John Elia Urdu Poetry Sad | SK Writes

Share To:

Shafique Khokhar

Post A Comment:

0 comments so far,add yours