Tera chup rahna mere zehn mein kya baith gaya ( Urdu Poetry ) | Tehzeeb Hafi | Urdu poetry Sad

تیرا چپ رہنا میرے ذہن میں کیا بیٹھ گیا
اتنی آوازیں تجھے دیں کہ گلا بیٹھ گیا

یوں نہیں ہے کہ فقط میں ہی اسے چاہتا ہوں
جو بھی اس پیڑ کی چھاؤں میں گیا بیٹھ گیا

اپنا لڑنا بھی محبت ہے تمہیں علم نہیں
چیختی تم رہی اور میرا گلا بیٹھ گیا

بات دریاؤں کی سورج کی نہ تیری ہے یہاں 
دو قدم جو بھی مرے ساتھ چلا بیٹھ گیا

اتنا میٹھا تھا وہ غصے بھرا لہجہ مت پوچھ
اس نے جس جس کو بھی جانے کا کہا بیٹھ گیا

بزم جاناں میں نشستیں نہیں دیکھی جاتی
جو بھی اک بار جہاں بیٹھ گیا بیٹھ گیا

اس کی مرضی وہ جسے پاس بٹھائے اپنے
اس پہ کیا لڑنا فلاں میری جگہ بیٹھ گیا

تحزیب حافی
Tera chup rehna mere zehen main kya beth gaya
Itni awazen tujhe di ke gala beth gaya

Yun nahin hai ke faqat main hi usse chahta hoon
Jo bhi us paiRr ki chaon main gaya beth gaya

Itna meetha tha woh ghusse bhara lehja mat puch
Us ne jis ko bhi jaane ka kaha beth gaya

Apna laRrna bhi mohabbat hai tumhen ilm nahin
Cheekhti tum rahi aur mera gala beth gaya

Us ki marzi woh jise paas bitha le apne
Is pe kya laRrna falaan meri jagah beth gaya

Baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan
Do qadam jo bhi mere sath chala beth gaya

Bazm-e-janan main nashistain nahin hoti makhsus
Jo bhi ik baar jahan beth gaya, beth gaya

Tera chup rahna mere zehn mein kya baith gaya ( Urdu Poetry ) | Tehzeeb Hafi | Urdu poetry Sad


Share To:

Shafique Khokhar

Post A Comment:

0 comments so far,add yours