Guzar Gaye Namaz E Fajr Aur Tu Sota Raha Full Urdu Hindi Ghazal By Shafique Khokhar-- www.akhrish.com
"FAJAR"
Guzar Gayi Namaz-e-Fajar Or Tu Sota Raha
Qeemti Waqt Khuwabon Mein Khota Raha
Subah Hui Par Tu Bedaar Na Hua
Umr Bhar So Kar Bhi Tu Bezaar Na Hua
"ZOHAR"
Ayi Zohar To Tujhay Kam Ne Uljha Diya
Benamazi Bana Kar Kitna Tujhe Phansa Diya
De Ga Rizq Tujhe Namaz Ke Bad Bhi
Palay Ga Rabb Tera Ghar Namaz Ke baad Bhi
"ASAR"
Dekh Aa Gayi Namaz-e-Asar Tawanayi Le Kar
Quwat Hai Is Mein Tu Ise Ada Kar
Tandrust Hai Tu Aaj Ye Shukr Ada Kar
Badan Ko Tu Apne Sajdon Se Lazzar Diya Kar
"MAGRIB"
Chal Diya Aaftab Ab Ghuroob Hone Ko
Namaz-E-MagHrib Hai Ab Shuru Hone Ko
Khatam Ho Gya Teri Zindagi Ka Aik Or Din
Chala Gya Ye Bhi Tere Hath Se Nekiyon Ke Bin
"ISHA"
Ab Tujhe Chahye Rat Mein Sone Se Pehle
Isha Parh Le Apni Zindagi Khine Se Pehle
Paye Ga Sukoon To ALLAH Ke Zikr Mein
Mile Ga qaraar Tere Dil Ko Isi Fikar Mein.
Voice: Shafique Khokhar
music: islamic
Farz namaz
namaz ki fazilat
namaz ki ahmiyat
Namaz ki ahmiyat
Namaz kyun zaroori hai
importance of prayer
Namaz masjid me
Namaz jamaat ke saath
islamic search engine
islam search
islamsearch
islamic channel
islamic videos
islamic channel in india
Islamic channel in pakistan
heart touching poetry
urdu quets
achi batein
pyari baten
Post A Comment: